Wednesday, November 12, 2008

waqt... the race against time

zindagi main aksar aise pal ate hai
hum bas khade khade dekhte reh jate hai
cha kar bhi kuch nai hai kar pate
kabhi apne par too kabhi tagdir par hai muskurate


lagta hai simat gaya hai sab kuch
shayad baacha nai hai ab kuch
kuch karne ka dil nai hai hota
mann to mann us waqt dil bhi hai rota


apne paraye ye waqt he hai btata
koi apna to koi begana hai ban jata
koi kheta sab sai ho jayega
koi kheta tu bhot uppar jayega


ye paat jhar ka mossam kab khatam hoga
kab ayegi basant aur kab mann prasan hoga
kar ra hu mai intezar us din ka
jab ye deepak jagmagayega
kissi badi company ka manager ban jayega


tab zindagi ki fiza badal jayegi
1 gaadi apni bhi khelayegi
hoga apna bhi sunday chutti ka din
filhal abhi to chutti hai prati din

No comments:

Let's Chat